Saturday, October 25, 2014

kya hota!

Photo Credits: Hanzala Ali Abbas
Kabhi ye khayal ata hai keh wesal-e-yar na hota to kya hota,
Tasawur-e-dil yun roshan na hota to kya hota!

Deewan-e-ishq se kuch kadam duri bhi hum ko bechain kiay deti hai,
Hum astana-e-meboob k gadagar hotay to kya hota!

Pesh-e-zuban har baat zaruri nahi samajhtay,
Dil ki darhkan ne sab keh dia hota to kya hota!

Chand lamho ki mulakat se kesay banay eman kamil,
Mehw-e-guftagu-e-ishq ta-abad rehtay to kya hota!

Rang-e-dunia kr deti hai yar se juda juda,
Hum dil kay kuch pakkay hotay to kya hota!

Ye Zamana shughal-e-gumrahi rakhta hai Zahir,
Ham kisi aur dunia k hotay to kya hota!

1 comment: